Netaji Ka Jeevan Hai Lyrics In English - Samadhi

Netaji Ka Jeevan Hai Lyrics In English - Samadhi
Netaji Ka Jeevan Hai Lyrics In English - Samadhi


Netaji Ka Jeevan Hai song lyrics :- The song Netaji Ka Jeevan Hai from the movie Samadhi is a 50s hindi song. The song "Netaji Ka Jeevan Hai" sung in the voice of Chitalkar Ramchandra. While music of the 50s hindi song given by Chitalkar Ramchandra and Lyrics are penned down by Rajinder Krishan.

Netaji Ka  Jeevan Hai Official Video Song


Song Name: Netaji Ka Jeevan Hai
Singer Name : Chitalkar Ramchandra
Music : Chitalkar Ramchandra
Lyrics Writer : Rajinder Krishan
Music Label : Unknown

Netaji Ka  Jeevan Hai Lyrics in English Font

Ho netaji ka jiwan hai balidaan ki ek kahani

Netaji ka jeewan hai balidaan ki ek kahani

Balidaan hi balidaan hai bachpan aur jawani

Bachpan aur jawani balidaan ki ek kahani

Balidaan ki ek kahani

 

Oye bachpan hi se chanchal man me armaano ka mela tha

Choti si ek lehar thi dil me toofano ka rela tha

College me ustaad jo tha vo tha london ka gora

Are usne kaha college me ek din hindi kala log chichora

Sher bose ka khoon jo khaula sher bose ka khun jo khola

Gore ko ek chapat lagai naam kata college se lekin

Hind ki laaj bachai netaji ka jeewan hai balidaan ki ek kahani

Balidan hi balidan hai bachpan aur jawani

Balidan ki ek kahani balidan ki ek kahani

 

Maat pita ne samjhaya aur englishtan ko kiya rawana

Bado ke aage bose naa bole lekin baagi dil naa mana

Europe me ics ke imtihaan ko paas kiya

Are itna uncha ohda paakar deshbakht ne chhod diya

Fir hindsutan me aakar pehle gandhi ko pranaam kiya

Gandhi ko pranaam kiya gandhi ko pranaam kiya

Vo desh ki sewa kaa bapu se pehla pehla sabak liya

Pehla pehla sabak liya pehla pehla sabak liya

Bharat ke dukh dard ko socha samjha aur pehchaana

Kamar bandh kar ran me aaya aazadi ka deewana

Aazadi ka deewana aazadi ka deewana kiya angrejo ne ye aid

Kare is baaghi ko ab kaid kuchal daale masal daale

Kuchal daale masal daale

 

Magar bachpan se jo baaghi ho

Vo julm se darna kya jane jalne se kab ghabrate hai

Shama watan ke parwaane jiski rag rag me shole ho

Vo kya samjhe chingari ko hathkadiyon ko janzeero ko

Jelo ki chaar diwari ko kadam kadam par mushkil aayi

Lekin sher sada lalkara reh nahi sakta gair ke bas me

Hidustaan hamara reh nahi sakta gair ke bas me

Hidustaan hamara reh nahi sakta gair ke bas me

Hidustaan hamara

 

Sarkar ne kar dali nazar band jaban band

Maidan ke jo mard hai hote hai kaha band

Ek raat ko chupke hi se gum ho gye neta

Shor hua subah kaha kho gaye neta

Janta bhi thi hairan to sarkar bhi hairan

Ud jane se bulbul ke tha saiyad pareshan

Lekin mata ko ye ummid thi laut aayega beta

Mata se kahe bina kaha jayega beta

Is aas me darwaje bhi ghar ke na kiya band

Aa jayega aa jayega vo laal vo parjand

Us maa se badi maa hai jo hindustan hai

Vo chodd gaya maa ko badi maa ko chudane

Is hind ki bigdi hui takdeer banane

 

Badal sakani besh chala pardes chod kar desh hamara neta

Badal sakani besh chala pardes chod kar desh hamara neta

Aazadi ki nayi ladai ladne hamaara neta

Hindustan se kabul me aur kabul se london me

Chalte chalte pahuch gaya vo singapur ke ran me

Kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya

Kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya

Ek ek tinka chuna aur aashiyana ban gaya

Jai gandhi jai subhash jai gandhi jai subhash

Jai hind jai hind jai hind jai hind jai hind

Previous Post Next Post